Podcasts
FPK Recitals: Nisar main teri galiyon ke by Faiz Ahmad Faiz
nisar main teri galiyon ke ai watan ki jahan
chali hai rasm ki koi na sar uTha ke chale
jo koi chahne wala tawaf ko nikle
nazar chura ke chale jism o jaan bacha ke chale
hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushad
ki sang-o-KHisht muqayyad hain aur sag aazad
bahut hai zulm ke dast-e-bahana-ju ke liye
jo chand ahl-e-junun tere nam-lewa hain
bane hain ahl-e-hawas muddai bhi munsif bhi
kise wakil karen kis se munsifi chahen
magar guzarne walon ke din guzarte hain
tere firaq mein yun subh o sham karte hain
bujha jo rauzan-e-zindan to dil ye samjha hai
ki teri mang sitaron se bhar gai hogi
chamak uThe hain salasil to hum ne jaana hai
ki ab sahar tere ruKH par bikhar gai hogi
gharaz tasawwur-e-sham-o-sahar mein jite hain
giraft-e-saya-e-diwar-o-dar mein jite hain
yunhi hamesha ulajhti rahi hai zulm se KHalq
na un ki rasm nai hai na apni rit nai
yunhi hamesha khilae hain hum ne aag mein phul
na un ki haar nai hai na apni jit nai
isi sabab se falak ka gila nahin karte
tere firaq mein hum dil bura nahin karte
gar aaj tujh se juda hain to kal baham honge
ye raat bhar ki judai to koi baat nahin
gar aaj auj pe hai tala-e-raqib to kya
ye chaar din ki KHudai to koi baat nahin
jo tujh se ahd-e-wafa ustuwar rakhte hain
ilaj-e-gardish-e-lail-o-nahaar rakhte hain
Transliteration Credits: Rekhta.org