chand roz aur mirī jaan faqat chand hī roz
zulm kī chhāñv meñ dam lene pe majbūr haiñ ham
aur kuchh der sitam sah leñ taḌap leñ ro leñ
apne ajdād kī mīrās hai māzūr haiñ ham
jism par qaid hai jazbāt pe zanjīreñ haiñ
fikr mahbūs hai guftār pe tāzīreñ haiñ
apnī himmat hai ki ham phir bhī jiye jaate haiñ
zindagī kyā kisī muflis kī qabā hai jis meñ
har ghaḌī dard ke paivand lage jaate haiñ
lekin ab zulm kī mī.ād ke din thoḌe haiñ
ik zarā sabr ki fariyād ke din thoḌe haiñ
arsa-e-dahr kī jhulsī huī vīrānī meñ
ham ko rahnā hai pe yūñhī to nahīñ rahnā hai
ajnabī hāthoñ kā be-nām girāñ-bār sitam
aaj sahnā hai hamesha to nahīñ sahnā hai
ye tire husn se lipTī huī ālām kī gard
apnī do roza javānī kī shikastoñ kā shumār
chāndnī rātoñ kā bekār dahaktā huā dard
dil kī be-sūd taḌap jism kī māyūs pukār
chand roz aur mirī jaan faqat chand hī roz
Transliteration Credits: Rekhta.org