Recited by Mir Basit Hussain.
nā-gahāñ shor huā
lo shab-e-tār-e-ġhulāmī kī sahar aa pahuñchī
uñgliyāñ jaag uThīñ
barbat o tā.ūs ne añgḌā.ī lī
aur mutrib kī hathelī se shuā.eñ phūTīñ
khil ga.e saaz meñ naġhmoñ ke mahakte hue phuul
log chillā.e ki fariyād ke din biit ga.e
rāhzan haar ga.e
rāh-rau jiit ga.e
qāfile duur the manzil se bahut duur magar
ḳhud-farebī kī ghanī chhāñv meñ dam lene lage
chun liyā raah ke rezoñ ko ḳhazaf-rezoñ ko
aur samajh baiThe ki bas la.al-o-javāhar haiñ yahī
rāhzan hañsne lage chhup ke kamīñ-gāhoñ meñ
ham-nashīñ ye thā farañgī kī firāsat kā tilism
rahbar-e-qaum kī nākāra qayādat kā fareb
ham ne āzurdagī-e-shauq ko manzil jaanā
apnī hī gard-e-sar-e-rāh ko mahmil jaanā
gardish-e-halqa-e-gardāb ko sāhil jaanā
ab jidhar dekho udhar maut hī mañDlātī hai
dar-o-dīvār se rone kī sadā aatī hai
ḳhvāb zaḳhmī haiñ umañgoñ ke kaleje chhalnī
mere dāman meñ haiñ zaḳhmoñ ke dahakte hue phuul
ḳhuun meñ luThḌe hue phuul
maiñ jinheñ kūcha-o-bāzār se chun laayā huuñ
qaum ke rāhbaro rāhzanoñ
apne aivān-e-hukūmat meñ sajā lo in ko
apne guldān-e-siyāsat meñ lagā lo in ko
apnī sad-sāla tamannāoñ kā hāsil hai yahī
mauj-e-pāyāb kā sāhil hai yahī
tum ne firdaus ke badle meñ jahannam le kar
kah diyā ham se gulistāñ meñ bahār aa.ī hai
chand sikkoñ ke evaz chand miloñ kī ḳhātir
tum ne nāmūs-e-shahīdān-e-vatan bech diyā
bāġhbāñ ban ke uThe aur chaman biich diyā