Recited by Mir Basit Hussain
kabhī kabhī mire dil meñ ḳhayāl aatā hai
ki zindagī tirī zulfoñ kī narm chhāñv meñ
guzarne paatī to shādāb ho bhī saktī thī
ye tīrgī jo mirī ziist kā muqaddar hai
tirī nazar kī shuāoñ meñ kho bhī saktī thī
ajab na thā ki maiñ begāna-e-alam ho kar
tire jamāl kī ra.anā.iyoñ meñ kho rahtā
tirā gudāz-badan terī nīm-bāz āñkheñ
inhī hasīn fasānoñ meñ mahv ho rahtā
pukārtīñ mujhe jab talḳhiyāñ zamāne kī
tire laboñ se halāvat ke ghūñT pī letā
hayāt chīḳhtī phirtī barhana sar aur maiñ
ghanerī zulfoñ ke saa.e meñ chhup ke jī letā
magar ye ho na sakā aur ab ye aalam hai
ki tū nahīñ tirā ġham terī justujū bhī nahīñ
guzar rahī hai kuchh is tarah zindagī jaise
use kisī ke sahāre kī aarzū bhī nahīñ
zamāne bhar ke dukhoñ ko lagā chukā huuñ gale
guzar rahā huuñ kuchh an-jānī rahguzāroñ se
muhīb saa.e mirī samt baḌhte aate haiñ
hayāt o maut ke pur-haul ḳhārzāroñ se
na koī jāda-e-manzil na raushnī kā surāġh
bhaTak rahī hai ḳhalāoñ meñ zindagī merī
inhī ḳhalāoñ meñ rah jā.ūñgā kabhī kho kar
maiñ jāntā huuñ mirī ham-nafas magar yūñhī
kabhī kabhī mire dil meñ ḳhayāl aatā hai