Recited by Mir Basit Hussain.
lahū pukārtā hai
har taraf pukārtā hai
sahar ho, shaam ho, ḳhāmoshī ho ki hañgāma
julūs-e-ġham ho ki bazm-e-nashāt-ārā.ī
lahū pukārtā hai
lahū pukārtā hai jaise ḳhushk sahrā meñ
pukārā karte the paiġhambarān-e-isrā.īl
zamīñ ke siine se aur āstīn-e-qātil se
gulū-e-kushta se behis zabān-e-ḳhanjar se
sadā lapaktī hai har samt harf-e-haq kī tarah
magar vo kaan jo bahre haiñ sun nahīñ sakte
magar vo qalb jo sañgīñ haiñ hil nahīñ sakte
ki un meñ ahl-e-havas kī sadā kā siisa hai
vo jhukte rahte haiñ lab-hā-e-iqtidār kī samt
vo sunte rahte haiñ bas hukm-e-hākimān-e-jahāñ
tavāf karte haiñ arbāb-e-gīr-o-dār ke gird
magar lahū to hai be-bāk o sarkash o chālāk
ye sho.ala mai ke piyāle meñ jaag uThtā hai
libās-e-atlas-o-dībā meñ sarsarātā hai
ye dāmanoñ ko pakaḌtā hai shāh-rāhoñ meñ
khaḌā huā nazar aatā hai dād-gāhoñ meñ
zamīñ sameT na pā.egī us kī bāñhoñ meñ
chhalak rahe haiñ samundar sarak rahe haiñ pahāḌ
lahū pukār rahā hai lahū pukāregā
ye vo sadā hai jise qatl kar nahīñ sakte
